Ad Code

Responsive Advertisement

17 best golden powerfull tips for your bitter health aapki sehat ka raaz


Tibbe Nabvi s.a.w.
Tibbe Nabvi Or Aapki Sehat ka 100% treatmant ka Raazz
Hi my all dear friends aaj mein aapko kuchh hatkar batane wala hun 1400 saal pehle nabi E aakhruzzama s.a.w. ke irshadat or aajki scince follow this articuls and get 100% best health free in your home 



Allah taala ne apne pyare habeeb mohammade arabi s.a.w. ko saari kainaat ke liye rehmat bana kar bheja or jiss tarah aapne Ruhaani bimaariyun ka ilaaj bataya isi tarah aapne jismani bimariyun ka bhi ilaaj bataya agar aap s.a.w. jismani ilaaj na batate to Dushmanane islam aapke baad ulmae umamat se eitraz (discuss) karte ki 


Allah ne nabie paak ko dunyan ke liye kaise rehmat banaka bheja jabki aadmi ka jisam bhi  dunya me dakhil hai or aap s.a.w. ko unki islah ki kuchh khabar hi nahi to keh sakte the ki nabie aazam s.a.w. jism ke kisi tarah bhi rehmat nahi ho sakte ?

Iss aitrazz par har shakhs ke liye jawab dena muhshkil hota issi liye Allah paak ne apne pyare habeeb s.a.w. ko jismani we ruhani donun me liye tabibe aazam banakar bheja sarware kainaat s.a.w. ke maamulaat (amal kya huaa) or irshadaat chun chun kar likh raha hun jin par amal karliya jae to jismani sehat wo tandrusti ki zamanat hai (garanty) allah taala hum sab ko iss par amal karne ki tofeeq ata farmae 

(1) Miswaak :- insaan ko bahut si bimaaryun se mehfooz rakhti hai 

(2) Gizzaun me sab se better behtar Doodh hai agar tumhen pine ke liye doodh de to inkaar mat karo kyunki allah taala ki yeh bahut badi rehmat hai tum par ki ussne pine ke liye pakizza doodh ataa kiya 

(3) Khule huwe pani me bimaari :- nabi e paak s.a.w. ko thanda or mithaa pani pasand tha or aap hidayat karte ki pani ke bartnun ko dhaanp diya kro or mashkizun ke munh ko band rakha karo or yeh bhi farmate ki khule huwe pani me balaen (viruse) or bimaryan dakhil hoti hai  

(4) Meade (pet) se bura koi zarf nahi :- khuda ne meade se bura koi zarf paidah nahi kiya hai kabhi nahi bharta iss liye munasib hai ki meade ke 3 hisse (part) karliye jaaen 1 giza ke liye 2 pani ke liye 3 saans ki amado raft ke liye  

(5) Khaane me foonk na maro:- khana khane se pehle haath dholiya karo chahe tum ne kuchh der pehle hi dhula ho ya wazu kiya ho or khane ke liye hath dhokar kapde se na punchho  garam khane ko thhanda karne ke liye usko foonk na maro plet me apne saamne ke hisse me haath daalo beech me se na khao  

(6) Apne gahrun (homes) ko paak rakha karo kyunki allah taala paak hai or paaki ko pasand farmata hai paki rakhne walun ko dost rakhta hai kareem hai or kareem ko dost rakhta hai khud dayalu bakhshish karne wala hai or bakhshish karne walun ko dost rakhta hai paak saaf rakhaa karo apne sehan baramda or dehleezun ko  

(7) Subah w raat :- subah jaldi uthhna chahiye or Raat me jald sona chahiye  

(8) Riyazat se badan ko na thakao:- tum par ahalo ayaal or badan ka bhi haqq hai riyazat wo ibaadat se badan ko itna na thakao ki dil bezaar hojae (uksaane lage)  

(9) Khaana or parhez:- khana bimariyun ka sabse bada sabab hai Or parhez tamaam dawaon ki 1 dawa  
Hai

(10) Khane me Ahtiyaat:- jo shakhs pet bharne se pehle haath rok le uske badan ka nizaam (sistum) umdah rehta hai uski sehat achhi rehti hai Or zahin (mind) tandrust rehta hai  

(11) Paani Or saans:- jab pani piyo to saan bartan gilas botal me na chhorha karo or na hi 1 saans me janwarun ki tarah piyo balki 3 saans me or ruk ruk kar aaram se beth kar piyo 

(12) Safar Or tandrusti:- safar kiya karo tandrusti paaoge or khoob rozi hasil karoge 

(13) Raat ka khaana :- Raat ka khaana mat chhorho kuchh na mile to 1 muthhi khujoor hi khaliya karo kyunki raat ka khana chhorhne se burhapa jaldi aata hai 

(14) Bad hazmi Or takkabbur :- takya lagakar. Khade hokar. Sawari me beth kar khane se badhazmi hojati hai or isske khilaf amal karne se khana hazam hota hai +takkabbur bhi door hota hai 

(15) SALT namak 70 bimaryun ka ilaaj :- khana namak se start karna chahiye iss liye ki namak me 70 bimaaryun se shifaa rakhi gai hai un me se kuchh yeh hai junoon.juzzam.korh.pet ka dard.daantun ka dard etc. 

(16) Rozaa rakhi tandrusti lo:- rozza rakha kro tandrust rahoge 



(17) Khud kashi :- jo shakhs mitti khata hai to goya khud kashi karta hai iss liye farmay ki mitti na khaya karo kyunki issme 3 bahut bade nuqsaan hai 1_hamesha ki bimaari 2_pet ki kharabi (liver) 3_badan ka pila hona piliyaa sabse khatarnaak bimari hai jo khoon ko pani bana deta hai 


To dostun aaj ke liye itna hi kafi hai ummed karta hun ki aap in baatun ko ignor nahi karoge balki aap in golden aqwaal par amal karke apni jismani or ruhani bimaryun ka ilaaj khud karenge insha allah next chapter me aapko bahut jald or iss se bhi ziyadah batane ki koshish karunga padhte rahiye contineu iss blog ko achha8 lage to shaer karna na bhulen thanks for reading my art.skb sherani

Post a Comment

0 Comments

Close Menu