Ad Code

Responsive Advertisement

What is suicide and how treat it khudkashi or iska ilaaj kaise karen

Khudkashi kya hai or iska ilaaj
Khudkashi kya hai???
Hi my all dear friends aaj ki pist me aapko 
Khudkashi (suicide) ke bare me batane wala hun ki iske nuqsaanat kya hai or iska ilaaj kaise possibul hai most chapter about suicide follow me 

Hazrate abu hurairah r.t.a. farmate hai ki sarkar alahissalam ke sath hum (gazwae hunain) mein hazir hue sarkare do jahan s.a.w. ne 1 shakhs ke bare me jo ki islam ka dawaa karta tha farmaya yeh dozakhi hai fir jab hum qitaal (fight) karne me mashgool howe to woh shakhs bahut shiddat se larha or use zakham lag gaya kisi ne kaha ya rasolallah jis shakhs ke bare me aapne kuchh der pehle farmaya tha ki woh dozakhi hai ussne aaj shadeed qitaal kiya or mar (deth) gaya aap s.a.w. ne farmaya woh jahannum me gayaa qareeb tha ki kuchh log shak (confuse) me padh jate itne me kisi ne kaha ki woh mraa nahi tha balki usse sakht zakham laga tha

Jab raat (night) hui to woh uss zakham ki takleef ko bardasht (sabar) nahi kar paya or uss ne khud kushi karli fir sarkar a.salam ko iss baat ki khabar di gai to aapne farmaya (Allaho akbar) mein gawahi deta hun ki mein allah ka banda or uska rsool hun fir hazrate bilaal r.t.a. ko aapne hukam diya or bilal r.t.a. ne logun ko bataya ki jannat ( mein sirf musalmaan imaan wala hi dakhil hoga beshak allah taala iss deene islam ki taid kisi fajir aadmi se bhi karwa deta hai (sahi muslim h.n.78)

Allah ke rasool s.a.w. ne kuffar ke sath nihayat hi be jigri se jang karne wale or jhangjo shakhs ko jahannami qarar diya isske 2 sabab wajah hosakti hai

1_khud kashi karna  iss surat me yeh apne gunahun ki sazaa bhugat kar jannat me jaega

2_ munafiqq hona ki khud kashi karne wala shakhs munafiq hota hai or woh aadmi munafiqq tha

To dostun pata chala ki zahir me kitni hi ibadat ki jae ya deene islam ki khidmat ya tableeg kare lekin agar dill me munafiqat ho or sarkar a.salam ki adawat (dushmani) ho to nekyun or ibaadatun ki koi haqiqat nahi or yeh bhi pata chala ki aamal me khatme ka mukkammal Amal dakhal hai i mean aamaal ka daro madar khatme or niyyatun par hai
Jannat haram ho gai
Sarkar a.salam ne farmaya  ki pichhli ummatun me 1 shakhs tha jiske badan me 1 forha nikla jab ussme sakht takleef hui to uss ne apne tarkashdaan (teer bhala) me se teer nikalla or uss forhe ko cheer diya jiss se khoon behne laga yahan tak ki isi sabab se uski mot hogai to mere rab (god) ne farmaya ki mene iss par jannat haram kardi
Ab iss hadees ka matlab yeh nikala jaega ussne jald marne khud kashi karne ke liye ya bagair maslihat ke aisa kiya isi wajah se usspar jannat haram kardi gai warna faide ke galibe gumaan ki surat me ilaaj wo dawa ke liye forha wagaitah cheerna ya opration karna haram nahi hai agar confurm ho ki cheerne kaatne se kisi ki tabiyat sahi hojaegi to ussko ilaj karna chahiye becuse jaan ka bachan (save life) bhi jaruri hai

All dears attantion =====================
Zindgi badi anmol hai iska khayal rakhna hamari zimmah dari hai tention dipretion fikarmandi sab me hoti hai but iska matlab yeh nahi ki hum in mamuli si batun ki wajah se apni zindgi khoden aisa khayal bhi nahi aana chahiye humen 1 zindgi khatam hone se puri faimely par maa baap bhai bache bahan or wife par kya asar padh sakta hai iss baat ko hamesha zahin me rakhen problums sabko aati hai magar woh chali bhi jaati hai insaan ko himmat se kaam lena chahiye isi me sab ki bhalai hai

Allah taala hum sabko in tamam batun par jo short but most and powerfull hai amal kare ki towfeeq ata farmae ameen ya rabbal aalameen
This art.by shahadatsherani please shear page not forgeat like thanks very much for read it

Post a Comment

0 Comments

Close Menu