Ad Code

Responsive Advertisement

SUCCESS IN DEFENDING IS GOD AND HIS MESSNGER KAAMYABI ALLAH OR RASOOL KE HUKM M HAI

islam ki azmat
Buri Rasmen Or Islam ka hukm

Dostun pichhli post me maine bataya ki kisi ledar muaalij doctor ne asal marj bimari na jani nahi pehchani or na hi ilaj ka sahi rasta ikhtyaar kiya by the way agar kisi Allah ke bande ne musalmanun ko sahi ilaaj batane ki koshish ki to issi muslim samaj ne uska mazaq urhaya uss par aawazen kasi or laan taanah zani se uska munh band kardiya fitne barpa kardiye asal tabibun ki baatun par kaan hi na dhare goya uss hakeem or budhe aadmi ki baat ho gai ki budhapa kamzori kam dikhna kamar dard sab budhape ki wajah se hai aakhir budha hakeem se bola ki kya budhape ke siwa kuchh hikmat aati hi nahi 
Same to same aaj hamara bhi yahi haal hai musalmanun ki badshahat gai izaat gai dowlat gai waqaar gaya or yeh sab sirf 1 hi wajah se kya aap jaante hai woh konsi wajah hai mein nahi kaainaat ka zarah zarah yahi kahega 


Tareeqe mustafa ko chhorhna hai wajahè barbadi 
Isi se qoam hui hai zamane me be iqtadaar apni ¡¡


I mean ki humne shariate mustafa ko chhorh diya or unki pervi chorhdi hamari zindgi islami na rahi bas dunuya ki faition me magan hogae magribi tehzeeb ko apna kar kamyab samajhte hai na sharme nabi na khofe khuda na aakhirat ka darr raha yeh tamam nahusaten sirf issi liye hain  sarkar aala hazrat r.a. farmate hai 


Din lahu me khona tujhe shab neend bhar sona tujhe 
sharme  Nabi khofe khuda yeh bhi nahi woh bhi nahi 


Masjiden hamari viraan’ musalmanun se sinema wo tamashe aabad hai har qisam ki buraiyan musalmanun me mojood hai gair mazahib ki rasmen hamare undar qaim hai  fir hum kiss tarah izzat pa sakte hai__mohd.ali johar ne khoob kaha tha bulbul w gul gae gae lekin _humko gham hai chaman ke jaane ka 
Dunyaa ki tamam taraqqiyan bulbulen thi or dowlate imaan chaman tha 
Agar chaman aabad hai to hazarun lakhun bulbulen fir aajaegi magar chaman hi ujarh gaya to ab bulbulen aane ki kya ummeed hai musalmanun ko isal bimari to chorhna hai or ab isski wajah se lakhun bimariyan fail gaeen musalmanun ki bimaryan 3 qisam par munahsir hai (1) daily rozana nae nae mazhabun ki paidawar or har aawaj par unke rastun par chal padna 
(2)  musalmanun ki khana jhanghiyan or muqadma baziyan or aapas ki dushmaniyan
(3) hamare baap dadaun (father grand father) ki ijaad ki hui khilaafe sharaa ya fijool ki rasmen bas in 3 qisam ki bimaryun ne musalmanun ko tabah wo barbad kar dala jiss muslim ka name lekar dusre mazhab ke log aankh na mila sakte balki unke dilun me sach me izzat waqar qadar thi kyun ki woh bhi jaante the ki yeh gulamane mustafa hai galat karna ti door yeh galat soch nhi nahi sakte yahi woh bimarya hai jiski wajah se aaj hum or aap ghar se be ghar hogae qarz ke daldal me fans gae or zillat ke gadhe me parhgae 





Post a Comment

0 Comments

Close Menu