Ad Code

Responsive Advertisement

WHAT IS FATE? TAQDEER KYA HAI ISLAMIC General knowledge

http://shahadatsherani.blogspot.com

    what is fate? Taqdeer kya hai   

The powerfull line of fate you can read story for fate taqdeer or usska hukm hindi me 


HI MY ALL DEAR READER FRIENDS, TODAY'S POST I'M GOING TO TELL YOU.THAT WHAT IS FATE?
Islam ka aqidah yeh hai ki kainaat ki har chhoti badi achhi buri cheej allah taala ke iradah a qudrat mashiaat or ilm se wajood me aai hai bas me itni baat jaanta hun ki (imaan bil qadar ) ke bager imaan sahi nahi hota iske aage yeh kyun woh kyun iss se me maazoor hun  matlab me aisi bahas nahi karta
Taqdeer allah ki sifat hai Isko insani aqal ke tarazu se tolna aise hi hai jaise sonaa tolne ke kaante se himaliya paharh ko tolna shuru karde zindgi guzarjaegi magar yeh mudaa pura nahi hoga ki bandah taqdeer ki tafseel ko samjhe
Bas humko wohi kaam karna chahiye jinka hukam huaa hai kyunki taqdeer ki mantiq (bhasha) kisi se hal nahi hui hai bas sidha sa imaan rakhiye ki har cheej ka khaliq ( pedah) karne wala sirf allah hai or har cheej uske paidah karne se wajood me aai hai allah ne insaan ko ikhtiyaar wo iradah diya hai magar yeh mutlaq nahi hai hazrate ali r.a. se kisi ne daryaft kiya insaan mukhtaar hai ya majboor ? H.ali ne farmaya pair uthao ussne 1 pair utha liya fir aapne farmaya dusra pair bhi uthao woh shakhs bola huzoor jab tak pehla qadam zameen par naa rakhun dusra nahi utha sakta aapne farmaya bas insaan itna mukhtaar hai or itna majboor misaal ke liye itna kaafi hai main iss bahas me ziyada nahi ja sakta kyunki imaan ka muaamla hai
Faidah_qazaa w qadar ka masallah bila shubah mushkil or naazuk hai lihaza momin ko chahiye ki yeh masallah agar uski samajh me na aae to bahas wo hujjat na kare balki apne dil w dimaag ko iss par mutmain karle ki allah ke pyare habeeb s.a.wasalam ne iss masaale ko iss tarah bayan farmaya hai Lihazaa hum iss par imaan le aaen
Taqdeer ka mas ala to allah taala ki sifaat se taaluq rakhta hai iss liye isko naazzuk w mushkil hona hi chaiye hamara haal to yeh hai ki isi dunya ke bahut se muaamlaat or bahut se raazun ko hum me se bahut se nahi samajh sakte pas jab allah ke rasool s.a.wasallam ne 1 haqiqat bayaan farmadi (Jiska puri tarah samajhlena ) sabke liye aasaan nahi to jin logun ko taqdeer ka metar samajh naa aae  unke liye bhi imaan laane ke baad sahi rasta (Right-way) yahi hai ki woh iske bare me koi bhi bahas or kat daawa w daleel na karen balki apni Aqal or zaheen ki kami samajh kar taqdeer par imaan laen ( muaariful quraan)

Yeh bhi padhlen  what is fitrate deen
Fitrate deen kya hai insaan me paidaishi salahiyat w ahliyat ki woh bagair kisi mahol ke asar ke deene islam ki cheejun ko qabool karle(kitaabulimaan fatawa e mehmudiya


Post a Comment

0 Comments

Close Menu