Ad Code

Responsive Advertisement

What Is The Rules off Of Islam ?

Islam on the basis of how things have?

Islam ki bunyaad kitni cheejun par hai?
इस्लाम की बुनियाद कितनी चीजों पर है?
Hi my all dear friends aajki post me hum or aap Sikhenge ki Islam ki 
bunyaad kya h aisi konsi woh Cheejen h jinko agar na kiya jaae to 
musalmaan apne Dharam (mazhab) se nikal jaega 

To dekbiye Islam ki woh most and importantly cheejen
Jinka karna har musalmaan Mard w aurat par lazim hai

1. Kalimah E shahahdat
Laa ilahaa illallaho Mohammadur rasoolullah 
Yani allah ke siwae koi ibadat  (pujne) ke laiq nahi or
Mohammede arabi S.A.W. allah ke (god) ke Rasool hai

2.Namaj 5 waqt ki
Yani din w raat me 5 namajen hoti h inko dill se maan na
Han agar koi bhi shakhs namaj nahi padta h to woh Islam 
Se kharij (exit ) nahi hoga balki namaj ko naa padne ki saza
Jaroot paega  waise namaj to momin ki nishani h (al hadees)

3.Rozaa E Ramjaan
 Yani mahe ramjaan ke roze 1 mahina ke farz kiye gae h inko
Dil se tasdeek karna ab agar koi roza nahi rakhta h to usko bhi
Iski saza milegi magar imaan w islaam se kharij nahi hoga

4.Hajj E kabatullah
Yani apni puri zindgi me 1 baar hajj karna farz h woh bhi tab jabki
Kisi ke paas itna maal w dowlat h ki woh aaram se makkah (god home)
Jakar aasakta ho warna greeb(poor) par nahi agar maal w dowlat hote 
Huwe hajj na kiya to islam se out nahi hoga  balki usko iski saza jaroor 
Milegi

5. Zakaat (daan. Charity 
Islam ki 5 panchwin bunyaad h zakaat agar kisi ke pass maal w dowlat 
Hai to woh apni dowlat paise me se 2.5 yani sawa do % apne greeb bhai
Behnu ki madad kare 

Moral______to mere dostun yeh thi islam ki wo most 5 bunyaden jisko
Maan na har musalmaan par farz h i mean agar in 5 cheejun ko agar 
Koi inkaar karde or kehde ki me inko nahi maanta to ab uss shakhs ke
Liye islam me (No Entry) h haan 1 baat fir se samanhlen ki in 5 cheejun
Ko apne sachhe dill se tasdeek karna lazim h ...agar koi namaj nahi padta 
Roza nahi rakhta zakaat nahi deta hajj nahi karta to inko pura na karna 1
Musalmaan ke liye jaruri tha magar na kiya to iski sajaa uss shakhs ko broze 
Qayamat milegi magar usko islam se kharij nahi maan sakte jabtak ki woh 
In batun ka inkaar na karde maan na alag h karna alag h  Na karne wale ko
Allah apne fazal se muaaf  kar sakta hai lekin jo in 5 islamic bunyad ka khulle
Aam inkaar karde woh kabhi muaaf nahi kya ja sakta usko sakht azaab diya 
Jaega 
Hawala=(islamic aqaid ....wallaho aalam bissawab
Art by skb sherani indian

Post a Comment

0 Comments

Close Menu