Ad Code

Responsive Advertisement

THE BENEFIT OF WAZU QURAAN AND HADEES WHAT SAY science

wazu ke fawaid


The Benefit Of wazu Hadees and quraan 


Hi my all dear readers aajki post me aap jaan sakte hai ki wazu ke kya fawaid (benifit) hai or isski tarteeb me kya raaz chhupe hai Wazu insaan ko zahiri wo batni(hide & show)gunah wo susti chhodhne par aamadah karta hai or jab bagair wazu ke insaan namaaz padhna shuroo kar deta hai to uske andar 1 qisam ki gaflat(imprudenc) mojood rehti hai yahi gaflat usse dunyavi khayalaat w pareshaniyun me le jati hai ab jab insaan allah taala ki bargah me hazir hone jaa raha hai to use khoob chaaq w choband or chust (active) ke saath hazir hona chahiye or chusti insaan me wazu se pedah hoti hai

New since w medecules ka yeh kehna hai or pukhta tajurbah yahi hai ki insaan ke andaruni jism ke zehrile mawad (viruse) badan ke mukhtalif hissun se kharij hote rehte hain or wahi mawad (viruses) haath per ya muh w sir me aakar thehar jate hai or fir usse mukhtalif qisam ke forhe funsiyun (Boils pimples) ki shakal me zahir hote rehte hai aise me badan ke mukhtalif hissun ke un aaza(part of body) ko dhone se woh zehrile madeh (hig-virus) ya to door hojate hai ya fir jism ke andar hi unka josh paani se  khatam hojata hai ya fir badan se bilkul khatam hojate hai

Jo shakhs zahiri w baatni safai ka paband ho use allah taala mehboob rakhta hai (pasand) farmata hai

Al quraan _be shak allah taala towbah karne walun or pakizzah sifat walun ko pasand farmata hai (surae baqrah222p)

Paakeezgi rehne se nek aamal ki adaigi ki ziyadah tofeeq milti hai

Gunah or susti se ruhaani noor jisam ke mukhtalif hissun se khatam jojata hai jabki waju ki wajah se wahi noor dobarah lot aata hai or yahi ruhani noor waju me dhoe jane wale aaza (part of body) me qayamat ke din chamakenge

mohammade arabi s.a.w.ne irshad farmaya hai

Qayamat ke din meri ummat iss haal me aaegi ki waju ke aasar se unke haath paun or chehre roshan honge iss liye tum me se jo koi apni roshni w noor badhana chahe woh wajo ko lazim pakdhle (take hold)

Hamesha bawaju rehne se insaan frishtun se qareeb hojata hai or shetaan usse door bhaag jata hai

Ab waju me jiss tarteeb ka bazarya quraan taaleem di gai hai iski wajah yeh hai ki insaan ahkaame illahi ki mukhalifat ya gunah bhi ussi tarteeb se karta hai ab jiss part of body ne ahkaame illahi ki mukhalifat me pehle hissa liya usska dhona bhi pehle bataya taki usski towbah (muaafi) pehle hojae jaise pehle kulli karne ko sunnat qarar diya kyunki zabaan baqi aaza se gunah me bhi pehal karti hai

Hadees shreef me hai ki mohammade arabi s.a.w. ne farmaya ki ibne aadam ke aksar gunah uski zubaan se sadir hote hai usi se kufar gibbat gaali galoch or hazarun qisam ke be haya kalimaat nikalte hai iss liye kulli ko sabse pehle sunnat rakha gaya taki uss bande ki zubaan compleetly paak wo saaf hojae

Fir naak me pani daalna ki usse jitni undruni ratubaat kachra saaf ho jae fir chehre ko dhona bataya gaya ki jiss se uski nazre bad se pedah hone wale (viruses) or dimaag me panap rahe bure khayalaat or jitni galat soch (wrong thinking) se pedah hone wale tamam(all mistake) nikal jae isi tarah fir donun haathun ko fir sir ka massah fir donun per etc  

attention my all dear readers this is way off sunah prop.Mohammed s.a.w.and that is the way to successfull insha allah

The post by shahadatsherani Indian about islam in hindi please continues read next post


Post a Comment

0 Comments

Close Menu